Monday 28 November 2011

Heart Broken Poetry..

Love is danger for your life.......
For SomeOne Special..

Ajab Tamasha E Muhabbat hai zamanay main.........

Its awesome Poetry....



Ik Bewafa Dost K liye.....

Kiya Ye ho sakta hai?



IK FARYAD KISI BAWAFA KI.

UFF Kiya Naseeb thay Hamaray...

BS ITNI SI DASTAN HAI.....

Barson Bad Ik Mulakat....

Zabt lazim hai magar sun le ae Faraz....
Ab ager or na roe ga to mur jae ga........

Mustaqbil.....
Love is so Bad.... 

Ankhon se gir na jaen ye moti sambhal lo...
Dunya k pass daikhne wali nazar nahi.......

Shidat e ghum ko tabasum main chupanay walay...
Dil ka her zakhm nigahon se ayan hota hai...


Your Well Wisher.....
Maria Ali Hassan.

Sad Poetry with Pictures

Sad Poetry with Pictures For U All

Dil ki Dharkan ko tatola to ye ehsas hua...
Hum B Chahte hain unen chahne walon ki tarah.
                                                               Do Dilon Ka milan

Bonden Giren to ankh se ansu bhi gir gae ....
Barish ka teri yad se rishta zaroor hai...........
 Ik Adhura Sa Pyar........

Udasian jo na latay to or kiya karte....
Na Jashn e Shola manatay to or kiya karte..
 Sad Page for Sad Lovers

 Daikh Lo Soki tehnion ki taraf......
Mut Puch Intizar Kiya Shay Hai...


 Gee to kerta hai usay muft main jan de dain faraz.....
Itne masoom kharidar se kiya laina daina...............
 Udas Raton ki siskiyon main, 
Kabi jo tmen meri yad ae to.
Kisi Sitare ko daikh laina..
Subha k ujalon main dhonta hai tabereen...
Dil ko kon samjhae Khawab khawab hote hain..

For Heart Broke Ashiqs.......
From Maria Ali Hassan>>>>

Sad

Also Join US on FaceBook
www.facebook.com/pages/Urdu-Sad-Poetry/203156289703159

Hue Hain Paon Pehlay Hi, Naburd-e-Ishq main Zakhmi....
Na Bhaga Jae hai mujh se, Na thehra jae hai mujh se....

Saturday 26 November 2011

Faraz Poetry..


Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain,
ham ghazal main bhi hunar yaar k rakh dety hain,
Shayad aa jayen kabhi chashm e kharidar main ham,
jan o dil baich k bazar main rakh dety hain,
Zikr e janaan main yeh duniya ko kahan le aye,
log kiun mas’alay baykaar kay rakh dety hain,
Zindagi teri amanat ha magar kya keejay,
Log yeh bojh bhi thak har k rakh dety hain,
Ham to chahat main bhi Ghalib k Mukallid hain faraz,
Jis pe marty hain usay maar kay rakh dety hain,

Terey qareeb aa k badi uljhanoun mein hoon
Main dushmanoun mein hoon kay teray dostoun mein hoon

Mujh say guraiz pa hai tou her rasta badal
Main sang-e-raah tou sabhi raston main hoon

Tu aa chuka hai satah pey kab say khabar nahi
Bay dard main abhi in hi gehraiyoun mein hoon

Aey yar-e-khush diyar tujhay kya khabar kay main
Kab say udasiyoun k ghanay jungaloun main hoon

Tu loot kar bhi ahl-e-tamanna ko khush nahi
Main lut kay bhi wafa k unhain qatiloun main hoon

Badla na merey baad bhi moazo-e-guftagoo
Main ja chuka hoon phir bhi teri mehfiloun main hoon

Mujh say bichad k tu bhi to roye ga ummar bhar
Yeh soch lay k main bhi teri khuahishoun maen hoon

Tu hans raha hay mujh pay mera haal daikh kar
Aur phir bhi main shareek tere qehqahoun main hoon

Khud hi misaal-e-laala-e-sehra lahoo lahoo
Aur khud hi ‘Faraz’ apnay tamashaioun main hoon

Ahmed Faraz’s famous sad urdu ghazal

My Fav Poetry

Woh murawwat say mila hai to jhuka doun gardun,
Meray dushman ka koi waar na khali jaye,
Ae Dost Main ne Tarq e tahaluq k bawajood....
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabi kabi......