Saturday, 26 November 2011


Terey qareeb aa k badi uljhanoun mein hoon
Main dushmanoun mein hoon kay teray dostoun mein hoon

Mujh say guraiz pa hai tou her rasta badal
Main sang-e-raah tou sabhi raston main hoon

Tu aa chuka hai satah pey kab say khabar nahi
Bay dard main abhi in hi gehraiyoun mein hoon

Aey yar-e-khush diyar tujhay kya khabar kay main
Kab say udasiyoun k ghanay jungaloun main hoon

Tu loot kar bhi ahl-e-tamanna ko khush nahi
Main lut kay bhi wafa k unhain qatiloun main hoon

Badla na merey baad bhi moazo-e-guftagoo
Main ja chuka hoon phir bhi teri mehfiloun main hoon

Mujh say bichad k tu bhi to roye ga ummar bhar
Yeh soch lay k main bhi teri khuahishoun maen hoon

Tu hans raha hay mujh pay mera haal daikh kar
Aur phir bhi main shareek tere qehqahoun main hoon

Khud hi misaal-e-laala-e-sehra lahoo lahoo
Aur khud hi ‘Faraz’ apnay tamashaioun main hoon

Ahmed Faraz’s famous sad urdu ghazal

No comments:

Post a Comment